Friday, September 23, 2011

poem Bachpan


Beautiful poetry about childhood:(Hindi)

BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA.

Khushiyo ka khazana hota tha.

Chahat chaand ko pane ki.

Dil Titli ka diwana hota tha

Khabar na thi kuch subah ki

na shaamo ka thikana hota tha

Thak-haar k aana school se par khelne b jana hota tha

Dadi ki kahani hoti thi pariyo ka fasana hota tha

Barish me kagaz ki kashti thi Har mausam suhana hota tha

Har khel me sathi hote the Hr rishta nibhana hota tha

Papa ki wo daat galti par Mumy ka manana hota tha,

Gam ki juban na hoti thi na jakhmo ka paimana hota tha

Rone ki wjah na hoti thi na hasne ka bahana hota tha

Ab na rahi wo zindgi

Jaisa BACHPAN KA ZAMANA HOTA THAia

No comments: